Jab bhi hum koi new Laptop ya Computer Purchase karte hai to suru-suru me hamara computer ya laptop acha aur fast kam karta hai par kuchh hi dino baad hamare PC ki speed slow ho jati hai. Kisi bhi file ya apps ke open hone mai jyada time lagta hai. Kisi bhi kaam ko karne me jyada problem hoti hai. isliye aaj hum Kuch Tips bata rahe hai. Jinko follow karke apne computer ya lapto ki Speed kafi had tak fast kar sakte hai to is artical ko pura read kare taaki aap apne computer ki speed ko badha sake.
Jub hamare computer laptop ki speed slow hone lagti hai to aise me humare mind me aata hai ki kyo na hum apne computer Format Kar de. kiyu ki format karne se C-Drive me mojud sabhi jaruri Data, Software or Apps aur files Delete ho jate hai. Phiir se in sabhi software or apps install karne ke liye kafi time lagta hai.
Laptop PC Ko Virus Se Kaise Bachaye Aur Speed Fast Kare
Computer Laptop ko virus se bachane ke liye hamare computer me ek achha se Antivirus Software Install kar lena chahiye. Ye antivirus hamare computer me virus aane se to rokata hi hai iske sath-sath hamre computer ko scan bhi kar ke virus janit filo ko delete karta rahta hai.
- Desktop Icon
Desktop par rakhi bahut sari unwanted bekar files ki wajah se bhi computer ki speed kam ho jati hai. Ye wo file hati hai jo hum apne computer par work karte wqt file bana-bana kar desktop par hi save karte jate hai. jub yah file desktop par jyada ho jati hai to inki wajah se hamara computer laptop ki speed par dhire dhire fark padne lagta hai. aur slow computer chalne lagta hai.isliye sap apne PC me desktop icon ko bina use ke desktop me na rakhe.
2.Recycle Bin Folder Ko Clean Rakhe
Desktop par rakhe Recycle Bin Folder ko bhi Empty karte rahna chahiye kiyu ki jo kuchh bhi hum computer laptop se delete karte hai wo sub Recycle Bin Folder me jama ho jata hai isliye isko bhi clean karna jaruri hai. Isliye recycle bin ko hamesha Clean rakhe.
3. Hard Drive Ka Management Karna
Computr laptop ke Hard Drive Management se PC ki speed badhane ka tarika achha hai. Speed badane ke liye Hard Drive Management me Disk Cleanup or Disk Defragmentka use samaye samaye par karna chahiye.aur unwanted file ko delete kar De thaki aapke computer aur laptop speed badh sakte.
4. Temp File Delete Karna
Temp File aisee File hoti hai jisko aap nahin banaate hai lekin jaise jaise aap apne PC par kaam karate hai Temp File computer mein khud-ba-khud banti rahti hain aur save hoti jati hai. Iski wajah se apka computer ki speed slow hona suru ho jati hai. In filo ko samaye samaye par delete karte rahana chahiye. Ye files computer ke C Drive mein surakshit hoti rahti hai. Inko aap C Drive me jakar delete kar sakte hai. To temp file ko delete kar de
5. Restore Point
Jab bhi koi virus hamare computer par attect karta hai, to iski wajah se window carupt ho jati hai. Aise me aap apne computer me rakhe importent documents filo ko kho sakte hai. Isliye apne data ko safe rakhne ke liye computer me restore point banakar hamesha rakhe. Isse virus aane par bhi apka data safe rahega.
To is artical me hamne bataya hai ki aap apne computer ya laptop ki speed kaise badha sakte hai. Agar aapko yah jankari pasand aaye to apne friends ke sath share kare aur sath hi sath comment ke through bataye ki artical kaisa laga.
To is artical me hamne bataya hai ki aap apne computer ya laptop ki speed kaise badha sakte hai. Agar aapko yah jankari pasand aaye to apne friends ke sath share kare aur sath hi sath comment ke through bataye ki artical kaisa laga.